Zaroori Tha Lyrics Rahat Fateh Ali Khan

Zaroori Tha Lyrics Of Rahat Fateh Ali Khan And HD Video 

Zaroori Tha Lyrics -

lafz kitne hi tere pairo se lipte honge,
tune jab akhiri khat mera jalaya hoga,
tune jab phool kitabo se nikale honge,
dene wala bhi tujhe yaad to aya hoga,

teri ankhon ke dariya ka,
uttrna bhi zroori tha,
mohobbat bhi zaroori thi,
bichdna bhi zaroori tha,
zaroori tha ki,
hum dono tawaf e arzoo karte,
magar fir arzuon ka,
bikharna bhi zaroori tha,
teri ankhon ke dariya ka,
uttarna bhi zaroori tha,

batao yaad hai tumko,
woh jab dil ko churaya tha,
churai cheez ko tumne,
khuda ka ghar banaya tha,
woh jab kehte the,
mera naam tum tasbih me padhte ho,
mohobbat ki namazo ko,
qara karne se darte ho,
magar ab yaad ata hai,
woh baatien thi mehaj baatien,
kahin baato hi baato me,
mukarna bhi zaroori tha,

wahi hasoorten apni,
wahi mai hoon,wahi tum ho,
magar khoya hua hu mai,
magar tum bhi kahin gum ho,
mohobbat mein dagha ki thi,
so kafir the so kafir hain,
mili hain manzilen fir bhi,
musafir the,musafir hain,
tere dil ke nikale hum,
kahaan bhatke,kahaan pahunche,
magar bhatke to yaad aya,
bhatkna bhi zaroori tha,
mohobbat bhi zaroori thi,
bichadna bhi zarrori tha,
zaroori tha ki hum dono,
tawaaf e aarzoo karte,
magar fir arzuon ka,
bikharna bhi zaroori tha,
teri ankhon ke dariya ka,
uttrana bhi zaroori tha, 



We've tried to kept the Zaroori Tha Lyrics ( Rahat Fateh Ali Khan ) accurate as much as we can. However, we can't guarantee it's 100% correct. If you found any correction in the lyrics of this song then please comment below thank you.

Zaroori Tha Lyrics Rahat Fateh Ali Khan Zaroori Tha Lyrics Rahat Fateh Ali Khan Reviewed by Unknown on 01:36 Rating: 5
Powered by Blogger.